Aaj kuch likhne ka maan kiya....;
duniya ki iss bheed men agge nikalne ka maan kiya ..;
papa ke sare sapne pore karne ka maan kiya..;
kahin door bht door jane ka maan kiya...;
us sitaron ko choone ka maan kiya..;
inn wadiyon ki fizaon men khone ka maan kia...;
andhere ki uss tikhi shanti men samane ka maan kiya...;
maa ke anchal men chupkar rone ka maan kiya...;
diye ki uss looa.ki tarah tapne ka maan kiya....;
thandi hawaon ki nami ki tarah chane ka maan kiya...;
dil men jo chupa hai usse kisiko batane ka maan kiya..;
jo samajh nahi paya aaj tak koi usse samajhane ka maan kiya..;
aaj iss duniya ko badalne ka maan kiya..;
khwabon ki uss duniya ko haqiqak banane ka maan kiay...;
aaj khud ko phr se dodhne ka maan kiya....
ek ajjeb dastak se seham gayi thi men ....
par na jane kyun aaj bht kuch ..likhne ka maan kiya......."..

